Thursday 18 December 2014

...Naya Daur...



Ye daur bhi kitna ajeeb lagta hai
Ankhein jhukne lagti hai, Lub muskurane lagte hai
Neend aati nahi hai, Khwab jatey nahi hai
Maa ka anchal chod, Kisi ka saath bhane lagta hai
Shor se jee khabrana, Akelapan khane lagta hai
Na jane ye kab aaya, Na jane ye kaise aaya
Lekin jo bhi hai, Ye daur bada suhana lagta hai





Saturday 15 November 2014

...Manas...



Jo mein Panchi hoti
Pankh khol ke ud jati
Door gagan mein kehkahati...



Jo mein hoti Machli
Pani ke sang lehrati
Door samudra mein machlati...






Hai bana diya mujhko Manushya
Ab hun pashu ke bhati ghurrati
Har dum har shan bus chillati...










Tuesday 11 November 2014

...Zindagi...






Zindagi is mukaam pe aake khadi hui hai, jaha
Bitey kal ki suhani yadein dhundli
Aaj ka sach Andhera
Aur Aane wala kal kora dikhai de raha hai
Jane kaise pahochi hu yaha
Jane aage kaha jaungi
Kuch bhi haath nahi mere
Koi bhi toh saath nahi mere


Saturday 3 May 2014

...Maa...



Mere sapno ki dor meri Maa se bandhi si hai,
Mere muskaane se uske Honto pe hasi aati si hai
Hasne mein jaroor thodi Kanjusi karti hai wo,
Par nam aankho ko dekhkar meri Aansu khub bhahati hai wo

Wednesday 30 April 2014

Rana ji


Rann ki mitti se aaenge,
Rana mhare mhara jeevan tar jaenge...
Mein bel hawa ka jhoka khake gir sakti hun,
Wo haath thamke mera mujhko apna kar lejaenge...

Tuesday 8 April 2014

Tera Itr



Aaj alam ye hua hai,
Dil dheere se fir dhadka hai,
Rooh ne fir karvat badli hai,
Saanso ne likha ek naya falsafa hai,
Teri aane ki khabar se hi mano badal si gayi hun mein,
Tere na sahi tere Itr ke chune se hi khil si gayi hun mein.


Friday 4 April 2014

Bach Na Paega Tu

- Us bahadur photojournalist ke naam jise aaj kuch hadh tk insaaf mila hai Shakti Mill Case mein....



Tu jab chota tha tb mein Jaan thi teri, Maa thi teri,
Tujhse choti bani tb Maan thi teri - Behen thi teri,
Tu jo school gaya toh Aadar bani teri - Teacher bani teri...

Alhad Jawani ke saath badla tera nazariya,
Kabhi khwab ka kissa bani,
toh kabhi chahat ka hissa bani,
Ye sab toh thik tha, Samaz tb tk Satik tha...

Nazarie ki jagah aaj badal gaya hai tu,
Insaan ki jagah Hewan jo ban gaya hai tu,
Kal tak thi mein Mandir ki murat,
Kaahe dekh li tune mujh mein pashu ki surat...

Mere Aanchal ko rond gaya tu,
Mere nirbal tan ko khula chod gaya tu,
Mere aansoo lal hai behetey,
Mere lab ab kuch na kehtey...

Ye na samjh mein toot gayi hun,
Andar hi andar fir aaj jud rahi hun,
Saza toh milegi bach na paega tu,
Umra ked nahi Faasi pe latak jaega tu...




* (All the pics used in this blog are taken from the net.)

Wednesday 2 April 2014

Saawra....







Anjaane se rastey pe,
Anjaani si nagariya hai...
Anjaani si nagariya mein,
Anjaan more Saawariya hai...






Saawre se nain unke,
Saawri si kalaiya hai...
Saawre ke mann mein basi,
Ye Saawri si sajaniya hai...








Sunday 30 March 2014

Duniya aur Hum


Duniya mein aaye hai hum naam kamane,
 Kuch khud banane, Kuch dusro ko banane... 

 Chaturo se bhari hai ye,
 Toh hum bhi chatur kuch kam nahi.... 
Aage bahot badti hai ye, 
 Humse aage badega kaun? 
 Itna kinsi mein dum nahi... Itna kisi mein dum nahi... 

Ek ungli mein dum nahi,
 Mutthi toh dumdaar,
Duniya mein jina hai bandhu?
Ek aadmi kam nahi, Par.....
Chaar mile toh yaar hai, Chaar mile toh yaar hai

Sanghi saathi jodta chal tu
Jeevan ek majhdhar hai,
Hasa kab tha aakhri baar,
Kya tujhe yaad hai..? Kya tujhe yaad hai..?


Duniya mein aaye hai hum naam kamane, 
 Kuch khud banane, kuch dusro ko banane...

Sanghi saathi jodta chal tu 
Jeevan ek majhdhar hai,
Yaad rakh.... Duniya mein jina hai  bandhu..
Ek aadmi kam nahi, Par.....
Chaar mile toh yaar hai, Chaar mile toh yaar hai

Wednesday 29 January 2014

Nanhi Si Gudiya....





Choti si asha ko Dil mein sanjoe hai,

Nanhi si Gudiya banke saamne wo aaye hai...

Dil hai Chota sa, Sapne anek hain,

Sapno mein pyaari pyaari Khwaishe anek hain...

'Pura karo inko papa' jab wo Itrake kehti hai,

Pura karna hai unko dil Gaungunata hai... Dil gungunata hai...