Showing posts with label Dreams. Show all posts
Showing posts with label Dreams. Show all posts

Wednesday, 14 January 2015

.Ye Dhaba Bahot Dur Hai...



Gyan toh milta nahi har rastey ke mod pe
Milti hai thokar gali ke har ek jhor pe...
Mujhko anpad kehne walo,
Baap mera majdur hai.
School jau kaise mein?
Padh likh ke aau kaise mein?
Abhi toh bartan pade hai dhone ko
Ye dhaba shehar se bada hi door hai...
















Thursday, 18 December 2014

...Naya Daur...



Ye daur bhi kitna ajeeb lagta hai
Ankhein jhukne lagti hai, Lub muskurane lagte hai
Neend aati nahi hai, Khwab jatey nahi hai
Maa ka anchal chod, Kisi ka saath bhane lagta hai
Shor se jee khabrana, Akelapan khane lagta hai
Na jane ye kab aaya, Na jane ye kaise aaya
Lekin jo bhi hai, Ye daur bada suhana lagta hai





Saturday, 3 May 2014

...Maa...



Mere sapno ki dor meri Maa se bandhi si hai,
Mere muskaane se uske Honto pe hasi aati si hai
Hasne mein jaroor thodi Kanjusi karti hai wo,
Par nam aankho ko dekhkar meri Aansu khub bhahati hai wo

Wednesday, 30 April 2014

Rana ji


Rann ki mitti se aaenge,
Rana mhare mhara jeevan tar jaenge...
Mein bel hawa ka jhoka khake gir sakti hun,
Wo haath thamke mera mujhko apna kar lejaenge...

Wednesday, 2 April 2014

Saawra....







Anjaane se rastey pe,
Anjaani si nagariya hai...
Anjaani si nagariya mein,
Anjaan more Saawariya hai...






Saawre se nain unke,
Saawri si kalaiya hai...
Saawre ke mann mein basi,
Ye Saawri si sajaniya hai...