Showing posts with label Hope. Show all posts
Showing posts with label Hope. Show all posts

Monday, 12 January 2015

...Zara Ye Bata

Aankho mein nafrat ki aag liye
usne pucha mujhse bol zara tu
bol kya tu sach mein paak hai
ya ye mera veham bhar hai

Tabhi mere lab muskaaney se lagey
aur hasi ki kilkaari si nikal gayi

Mein kya jaanu kya hai veham tera
ya kyon kiya hai ye sawaal tune aaj
mujhse meri paakisgi puchne wale
Zara ye bata -
Tu kaise yu haiwa ban gaya
tujhe toh mein khuda maan bethi thi...

Friday, 4 April 2014

Bach Na Paega Tu

- Us bahadur photojournalist ke naam jise aaj kuch hadh tk insaaf mila hai Shakti Mill Case mein....



Tu jab chota tha tb mein Jaan thi teri, Maa thi teri,
Tujhse choti bani tb Maan thi teri - Behen thi teri,
Tu jo school gaya toh Aadar bani teri - Teacher bani teri...

Alhad Jawani ke saath badla tera nazariya,
Kabhi khwab ka kissa bani,
toh kabhi chahat ka hissa bani,
Ye sab toh thik tha, Samaz tb tk Satik tha...

Nazarie ki jagah aaj badal gaya hai tu,
Insaan ki jagah Hewan jo ban gaya hai tu,
Kal tak thi mein Mandir ki murat,
Kaahe dekh li tune mujh mein pashu ki surat...

Mere Aanchal ko rond gaya tu,
Mere nirbal tan ko khula chod gaya tu,
Mere aansoo lal hai behetey,
Mere lab ab kuch na kehtey...

Ye na samjh mein toot gayi hun,
Andar hi andar fir aaj jud rahi hun,
Saza toh milegi bach na paega tu,
Umra ked nahi Faasi pe latak jaega tu...




* (All the pics used in this blog are taken from the net.)

Wednesday, 2 April 2014

Saawra....







Anjaane se rastey pe,
Anjaani si nagariya hai...
Anjaani si nagariya mein,
Anjaan more Saawariya hai...






Saawre se nain unke,
Saawri si kalaiya hai...
Saawre ke mann mein basi,
Ye Saawri si sajaniya hai...